Sunday 2 February 2014

एक कविता… उस की आँखें ..



एक कविता 

उस की आँखें ..

मैं ने जब भी ,
मौसम को बदलते देखा ,
कभी सूखा सूखा सा
जो मंजर पाया ,
कभी उडती हुयी धूल का ,
बवंडर जो मिला ,
कभी ऊदी ऊदी सी घटा
जो छायी  ,
कभी टूट के घनघोर सावन ,
जो बरसा ,
कभी सैलाब ,
फूट निकला ,तोड़ कर बाँध सारे ,
कभी भींगी भींगी मस्त सी
हवा जो चली ,
हर ऋतू में ,
मुझे उस के आँखों की अदा
याद आयी !!
--vss

A poem...
Us ki aankhen..

Maine jab bhee,
mausam ko badalte dekhaa,
kabhee sookhaa sookhaa saa
jo manjar paayaa,
kabhee udtee huyee dhool kaa ,
bawandar jo milaa ,
kabhee oodee oodee see ghataa ,
jo chhaayee ,
kabhee toot ke ghanghor saawan,
jo barsaa,
kabhee sailaab,
phoot niklaa, tod kar baandh saare ,
kabhee bheengee bheengee mast see,
hawaa jo chalee ,
har ritu mein ,
mujhe us ke aankhon kee adaa,
yaad aayee !!

-vss.

No comments:

Post a Comment